Random Thoughts

Hindi Poems continued.....

Home
Spirituality and Indian Music
My Thoughts....
More Thoughts...
More Thoughts...
More thoughts....
More Thoughts...
More Thoughts....
My Poems....
Some creations in Hindi...I
Some Creations in Hindi...II
Some Creations in Hindi...III
Some creations in Hindi...IV
More Hindi Poems...
Hindi Poems continued.....
Contact Me

More HIndi Poems...

kisi anjaane baadal ne...
 
kisi anajaane baadal ne
amrit kyon barsaaya aaj
umad ghumad kar barsaa man
swapn nagar ho aaya aaj
kisee anjaane baadal ne
amrit kyon barasaaya aaj

chanchal hirnee saa dartaa bhaagta
bah jaane ko aatur, samhaltaa
bhaavnaa ke athaah saagar mein
baar baar doobata ubharata
vednaa mein dooba phir bhi
mann kyon harshaaya aaj
kisi anajaane baadal ne
amrit kyon barasaaya aaj

jyon maun sheetal hawaa ka jhonka
apne mridul ahsaas se bhigota
chanchal aatur roz milan ko
apnee mook bhasha mein kahata
sansaar ke vyarth jaal bunate
aankhein jhukaaye chupchaap jhartaa
ashru seenchit bhaav chhupaaye
ek hi chhavi mein mann ramaaya aaj
kisi anjaane baadal ne
amrit kyon barsaaya aaj

jo nishi din swapn mein khel raha
sapnoN ka ek sansaar basaa
har kshan kee utsuk prateeksha
ek saath donon ka din jo dhalta
ghar ko lauta thakaa parindaa
mil kar do pal sur mein gaata
isee aas mein mann samaaya aaj
kisi anjaane baadal ne
ammrit kyon barsaaya aaj

--Manoshi

Deepawali
 
kaali raat jagmag sone se
sharamata andhera jhaankta kone se
khushee kee mandalee, ujaale ka dera
aaj ghar ghar lakshmee ka basera
kahin chhootti pataakhe kee ladee,
kahin bikhartee aaj phuljhadee
kheel bataashe aur mithaai,
aaj dukhon kee hai bidaai
deep saje hain mann ke aangan mein
sunder bhaavon ke praangan mein
aao iss tarah deewali manaayein
prem ke rang se rangoli rachaayein

Kuchh Haasya...
 
"kahte hain milte hain jode darbaar mein khuda ke
chuntaa hai eeshwar chun-chun kar khoobee jodoN mein
milte hee miyaan se apne abhaas ho gaya tha mujhe
Leela hee hai jo maine unhein chuna karodoN mein

main kahtee hoon din agar tho kahte hain woh raat
main kahoon aasmaan agar kahte hain woh paataal
mujhe jaana ho poorab tho woh jaayein pachchim
main gaaooN taar mein agar,woh dein mandra par taal

Unhein pasand agar thirakte dumdaar gaane
tho mujhe Bhairavi ke khayaal mein mazaa aaye
jahan jhartee chaandni par main likhoon kavita
tho unke liye chaandni udhaar ki cheez kahlaaye

Saamne TV ke baithe hon kabhi woh agar
tho nirantar channel badalte rahna unka kaam
mera serial unke liye sirf rona dhona
chaubees ghante cricket ka japte hain woh naam

sadak par chalte huye dukaanein dekh kahoon 'gar
dekho kitna sunder rang hai uss tungee sari ka
woh bhi kahte hain wah sach bada sunder hai rang
agar khareedna ho tho rang ho aisa gaadi ka

kabhie kharidaari ka mann ho agar mera
yun dikhaate hain jyon unmein badee hai umang
par kaise ek pal mein dus saaman le aate hain
mujhe tho dus ghanton me koi chhez aatee nahin pasand

inn akhbaaron ke naseeb par sach jalan hotee hai
padhta hai kaise koi ghantoN ek hee akhbaar
agar kahoon suna nahin tumne maine jo kaha
kahte hain kah chuki ho ye do sau pachcheesvi baar

sirf yahee nahin farq hai khaane peene mein bhi janaab
mujhe pasand bangaali machh-bhat tho unhein burger
kaam kaaj mein bhi woh jahan hai ekdum sahee
mere kaamoN mein tho galtee hotee hai aksar

yaad hai vigyaan mein padha tha school mein
vipareet kheenchte hain apnee or ek doosre ko
har vaigyaanik niyam saboot maangta hai
hum khure utarenge iss kasauti se guzare tho

chaand aur sooraj jyon ek doosre ke liye hain
ek din mein tho dooja raat mein nikalta hai
jaise diya aur baati sang rahte humesha
ek rahta shaant shithil tho doosra jalta hai

aisee hee kisi dor se bandhe hum donoN
chir jeevan saath rahne ki abhilasha humaari
prem aur vishwaas hee ek cheez jo samaan hai
issee mein bastee hai saari duniya humari....


Manoshi


Ahsaas
 
"kabhie aankheiN band kiye huye
hawaa mein bikhartee boonda-baandi mein
apne chehre par girtee
halkee sooiyoN ki nok ko
mahsoos kar jab
uss ahsaas se khud-bakhud
muskara uth.te hain hoNth

jab sard raatoN mein
kumpkumpaate huye dauD kar
aa bistar par
razaai ko humraaz banaa
gudgudaate komal ahsaas mein
kabhi chupke se
fusfusaa uth.Te hain hoNth

jab tez hawaa ke jhoNkoN se
uDtee latoN ko samhaalne kee
baar baar koshish mein kabhi
kisi chirparichit nazar ke
ektak ahsaas se
thartharaa uth.Te hain hoNth

kabhi machal uth.Ta hai mann
aur behad khush ho bewajah
aankhoN mein bhar aata hai paani
tab uss madhosh ahsaas mein
sisakte huye kabhi
jab haule se
kumpkumpaa uTh.te hain hoNth

tho chhupaa kar rakh leti hoon
main unn paloN ko
ki ahsaas kee khushboo se
mahakte ye pal
kahin bah na jaayein aankhon se
ya muskaan ke saath jhar na jaayeiN kahin
ek hi pal mein samet letee hoon har pal
ki har ahsaas ke saath jude hain
jaane kitne ahsaas, aur kahin....tum."


--Manoshi

Deepawali kee raat
 
qataaroN mein zameen par
aayee hai aaj utar
taaroN ki baaraat
jadne heere motee
ik kaalee chaadar par
chhup gaya hai chand aaj
andheree gufaa mein bahut door
amavas ka jama pahan
aur bheja hai chaandni ko
chupke se akele taroN ke sang
jab phuljhadiyoN ki barsaat mein
bheeg rahee kaali ye raat
ithlaati khushee phir rahee
saj-dhaj kar har gali
jhar rahaa umang
bikhar rahaa rang
ki raat ek jo kaali hai
aaj bahut sunder magar
sitaroN se jagmagaati
diyoN se khilkhilaati
haan aaj phir Deewali hai.

Mere Priyatam..
 
kabhie kisi ruke huye pravaah mein
bah jaane ko ho mann mera
jab neend se uth kar chaaron taraf
paatee hoon main andhera
Tab tumhare prem ki naiyaa
Ke sahare main ghoom aati hoon,
Kaali raat paar kar
Uss chhor pe, dekh aati hoon
Jahan kai chhote jhopde
Timtimaati roshni mein bhi
Andheron ke beech jal rahe hain
Uss Ret par banaye nishaan ko,
ek baar chhoo aati hoon,
uss rekha ko dekh aatee hoon
jo apni chaap mita nahin saki,
Maun tumhari awaaz suntee hoon main
Ayakta tumhare shabd aanchal se
aakar lipat jaate hain mere
aur mera bheega aanchal
samet leta hai tumhare bheege mann ko
aankhoN se bahte samunder ko mere
rok letee hain tumhari anjuli
mere saath chalte ho chupchaap
nishabd, main jaanti hoon
na jaante huye bhi ki
har kshan main paoongi tumhe
apne paas, jeevan bhar priye
mere hriday mein...

--Manoshi



ek vyangya...
 
"kahte hain woh devta hai
ki kal hee banaaya hai
meree ibaadat ke phooloN ne.
mere jhuke huye sar ne
kal hi taraasha hai usse
aur aaj mere kwaboN ko
khareed liyaa hai usne
apne unn vaadoN se
ki main roz raah dekhtee hoon
inn kwabOn ke poore hone ki
mere phoos ke mahal pe chhat hone ki
pooree imaandaari se
phool chadhaaye the meine
jab kahaa tha mujhse
ki taraashoge tho var milega
aaj beemar var kee dawaa ke liye
main dekhtee hoon raah
unn naye sapnoN ke poore hone kee
ki kahte hain woh devta hai..."

--Manoshi

Shaam hyee aur tum nahin aaye...
 
"aaj phir shaam hui aur tum nahin aaye
aasmaa kee laal bindi
chhoone chalee bhonhein kshitij kee
aur kuchh jhonke hawaa ke
dheroN bheege pal le aaye
par tum nahin aaye...

chal padaa ye mann achaanak
phir usee ped ke neeche se guzraa
kuchh sookhe patte pade the neeche
aur ek pahchaani khushbu aa liptee
vaisaa hee ek pattaa kabse
mere sapnoN ke paas rakha hai
kabhie ret kee sookhee aandhi mein
jaane kyoN machal uth.ta hai
udta hai gol gol aur
uss khushboo se jaa ulajhtaa hai
jaise uljhaa karte the kabhee
jhoothee kahaaniyoN pe hum bhi
aaj patte kyon chupchaap pade hain
kaise uss khushboo ko samjhaayein
shaam wahee par tum nahin aaye...

guzraa abhi mere paas se ek kshan
halkee see dastak de gaya woh
gungunaa rahaa tha wahee dhun jispe
hum donoN saath chale the kabhie
kitne besure lagte the tum
mera sur hansta thaa tum par
aaj bhi woh dhoondh raha tumhein
ab kaise uss sur ko samjhaayein
shaam wahee par kyon tum nahin aaye....



Manoshi

Woh Din...
 
"ek bheeni shaam aakar
jhakjhor jaati hai mujhe roz
apne thapedoN se
bhigo jaatee hai antarang mera
khilkhilaate bachchoN ka samuh
do ek jode haath mein haath daale
chaar ladkiyaan ghaas par baithee
apne mann praan kee kahtee
aur kahin se uD aata
kisi pahchaani khushboo ke
peeth par baitha purana ek khayal
pankh lagaaye uD gayee kaise
meree woh shaamein
Jab unn bacchoN ke shor kee
ek khanak thi main bhi
kabhie unn ladkiyoN kee bajtee hansee
kee ek ghunghroo thee main bhi
kisi ke sapnoN kee dhadkan ka sapna bann
phirti thee rang bharne apne sapnoN mein
jhartee chaandnee mein likhe the
jaane kitne hee geet maine
aur barsaatee baadal ke aagaman ke saath
bahtaa thaa meree aankhOn se paani
kitna sunder tha woh sach unn aankhoN mein
aaj wahee sach badal gaya hai
parakhne lagee hain aankhein
aansuoN ka khaarapun
sapnoN ne rishte jode hain yathaarth se
aur barsaati baadal ke aagman se aaj
kapde nahin sookhne ka darr...
meree shaamoN ne badlee hai karvat
par aaj bhi dekhtee hoon
khilkhilaate bachhon ka samuh
do ek jode haath mein haath daale
chaar ladkiyaan ghaas pe baithee
apne mann praan ki kahtee....


Manoshi